Imran Khan | Organizer
Imran Khan | Organizer
Assalamualaikum Warahmatullah,
Main sab bhaiyon aur behno se guzarish karta hoon ke mere bete ke liye maali madad faraham karein. Mera beta aik hadse mein shadeed jhulas gaya tha, jiss se uska chehra, naak aur hont buray taur par mutasir ho gaye hain. Doctoron ne kaha hai ke uski sehat aur chehre ki bahali ke liye kai operations karne zaroori hain.
Main aik ghareeb aadmi hoon aur taxi chalata hn. mere paas itni kharcha nahi ke main operation, dawaon aur hospital ka kharcha utha sakoon. Mera beta dard mein hai, lekin umeed uski aankhon mein ab bhi zinda hai. Main har us shakhs se darkhwast karta hoon ke Allah ke waste madad karein, chahe thodi si hi sahulat kyun na ho — yeh uski zindagi badal sakti hai. Allah Ta’ala farmata hai ke jo kisi musibat zada ki madad karta hai, Allah uske kaam asaan kar deta hai.
Aap sab se dua aur madad ki umeed hai. Jo bhi madad karna chahta ho, wo mujh se rabta kar sakta hai. Allah aap sab ko sehat, izzat aur barkat se nawazay. JazakAllah Khair.
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.