Adnan Khan | Organizer
Adnan Khan | Organizer
Assalam-o-Alaikum,
Mera naam Adnan Khan hai. Main pichlay 4 saal se ek bohat mushkil halat ka samna kar raha hoon. Maine majboori mein kisi se sood (interest) par qarz liya tha, jiska main har mahine 19,000 rupay ki installment ada kar raha hoon.
Ab meri zindagi mein ek aur badi aazmaish aa gayi hai. Mera chhota beta sakht bemaar hai aur is waqt hospital mein admit hai. Uske ilaaj ke kharchay bhi bohat zyada hain.
Is waqt meri halat aisi nahi rahi ke main dono cheezen manage kar sakoon, na poori tarah ilaaj ka kharcha, na hi sood ki installment. Main bohat pareshan hoon aur kisi bhi taraf se rasta nazar nahi aa raha.
Main aap sab se dil se darkhwast karta hoon ke meri madad karein taake main is sood ke bojh se nijaat hasil kar sakoon aur apne bachay ka ilaaj theek se karwa sakoon.
Agar koi bhai ya behan meri madad kar sakta hai, ya meri rehnumai kar sakta hai, to main hamesha shukar guzar rahunga.
Allah aap sab ko iska behtareen ajar de. Ameen.
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.