Tahira Rubab | Organizer
Tahira Rubab | Organizer
Miran Bibi, jo Mianwali ke qareeb ek chhoti si basti mein akelī rehti hain, pichle 5 saal se stroke (left side paralysis) mein mubtala hain.
Unka poora left side kaam nahi karta — bazoo bilkul kam nahi karta aur paon ulta ho jata hai, jis wajah se wo stick ke sahare chalte hain.
Har qadam unke liye dard aur mushkil se kam nahi hota.
Unke mamu aur rishtedār sab unhein chor kar chale gaye, koi dekhbhaal karne wala nahi.
Wo bilkul akelī, be-sahara aur be-sahulat zindagi guzar rahi hain.
Koi kamai nahi, na ilaj ka intezam, na koi sahara jo unka khayal rakh sake.
Doctors ne kaha hai ke agar regular physiotherapy aur dawaai milti rahe to Miran Bibi ke haath aur paon mein thodi movement wapas aa sakti hai.
Lekin financial halat itni kamzor hai ke wo yeh ilaj afford nahi kar pa rahi.
Aaj wo har din dard, tanhaai aur pareshaani ke saath guzarti hain, magar ab bhi unke dil mein ek chhoti si umeed hai — ke shayad log unki madad karen aur wo dobara apne pairon par khadi ho saken.
Aapka diya hua har chhota paisa Miran Bibi ke liye rehmat aur umeed ka zariya ban sakta hai.
Khuda ke waste, is akelī aur be-sahara aurat ki madad karein taake wo dobara izzat aur sukoon ke sath jee saken. 🤲
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.