Umer Farooq | Organizer
Umer Farooq | Organizer
Assalam o Alaikum,
Mera naam Umer hai, aur main Pakistan se hoon. Aaj main bohat bhari dil ke sath aap sab se madad ki darkhwast kar raha hoon.
Zindagi ne achanak aisa mod liya jahan meri income ka zariya khatam ho gaya aur main apni basic zarooriyat poori karne ke liye qarz lene par majboor ho gaya. Main ne puri koshish ki ke waqt par yeh qarz wapas kar doon, lekin badqismati se halat mere control se bahar ho gaye.
Aaj mere sar par 300,000 PKR (3 lakh) ka qarz hai. Qarzdar ab legal action lene ki tayari kar raha hai, jis ki wajah se main zehni tor par bohat pressure aur darr ka shikar hoon. Main sirf apni izzat aur apna mustaqbil bachana chahta hoon.
Main aapko dil se yaqeen dilata hoon ke mera irada kabhi bhi paise na dene ka nahi tha. Main ek mehnati insan hoon jo sirf ek mauqa chahta hai taake apni zindagi dobara sambhal sake. Lekin iss waqt main akela iss bojh ko uthane ke qabil nahi hoon.
Aap ki chhoti si madad bhi mere liye roshni ki kiran ban sakti hai. Aap ka diya hua sadqa ya zakat na sirf meri madad karega, balki mujhe ek nayi zindagi shuru karne ka hosla bhi dega.
Main aap sab se guzarish karta hoon ke meri madad karein, meri baat ko aage share karein, aur agar mumkin ho to apni duaon mein yaad rakhein.
Allah aap sab ko iska behtareen ajar de, aap ki har mushkil asaan kare, aur aap ke rizq mein barkat ata farmaye.
Shukriya aur jazakAllah khair,
Umer.
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.