Mudassar Sohail | Organizer
Mudassar Sohail | Organizer
Mera naam Mudassar hai, aur main aik mushkil waqt se guzar raha hoon. Main hamesha apni mehnat aur imandari se zindagi guzarta raha, lekin iss waqt ek aisi situation ka samna hai jahan mujhe apni community, doston aur bhaiyon ka sahara chahiy.Aaj jo mushkil mere saamne hai, main akela hal nahi kar sakta. Kuch financial masail itne barh chuke hain ke ab meinh unhein cover karne ki taqat nahi rahi. Bajaye ke ye masla aur wada hota jaaye, main ne himmat kar ke ye fundraising campaign start kia hai taake main is burden ko responsibly handle kar sakoon aur apni zindagi ko phir se stable bana sakoon.Yeh waqt mere liye bohot sakht hai. Aisi situation main kabhi sochi nahi thi… lekin zindagi kabhi kabhi aise mor par la deti hai jahan insaan ko madad mangni padti hai.
Main yaqeen rakhta hoon ke Allah logon ke dilon mein rehmat daalta hai, aur shayad aap ka chhota sa hissa mere liye bohot badi umeed ban sakta hai.
Har support — chaahe woh choti ho ya bari — mere liye bohot ahmiyat rakhti hai.
Aap ki di hui help sirf aur sirf is financial pressure ko cover karne, pending amounts adjust karne aur zindagi ko dubara normal track par lane mein use hogi.
Main poori koshish kar raha hoon ke sab kuch transparent rahe. Aap ka diya hua hissa seedha us problem ko solve karega jo is waqt mere liye sabse bari challenge bani hui hai.Main jaanta hoon ke har kisi ke apne masail hotay hain, isliye jis jis ne bhi support di — chahe share, dua, ya donation — us ka main dil se shukarguzar hoon.
Aap ka chhota sa hissa mere liye ek nayi umeed ban sakta hai.
Agar aap support nahi kar sakte to sirf is campaign ko share kardain — shayad kisi aur tak ye baat pohanch jaye jo madad kar sake.
Allah aap ko is nek kaam ka ajar de.
Shukriya. ❤️
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.