Muhammad Bilal | Organizer
Muhammad Bilal | Organizer
Mera naam batana zaroori nahi, bas itna samajh lein ke main aik aam sa, shareef aur saada insan hoon. Zindagi ne mujhe is moqam par la khara kiya hai jahan main qaraz ke bojh tale dab chuka hoon. Main mehnat karta hoon, lekin meri kamai itni nahi ke qaraz bhi utar sakoon aur ghar bhi theek se chala sakoon.
Mera dil kabhi is baat par raazi nahi hua ke main kisi ko dhoka doon ya ghalat tareeqe se paisa kamau. Main sirf itna chahta hoon ke apni zindagi ko seedhi raah par la sakoon. Is liye main aik chota sa business shuru karna chahta hoon, taake halal tareeqe se kama kar apna qaraz ada kar sakoon aur apne ghar walon ke liye behtar mustaqbil bana sakoon.
Ye madad maangna mere liye asaan nahi, lekin majboori mujhe yahan le aayi hai. Aap ki choti si madad mere liye bohat bari umeed ban sakti hai. Main wada karta hoon ke agar aap ne mera saath diya, to main is madad ko sirf apni zindagi sudharne ke liye istemal karoon ga.
Allah aap ko iska behtar ajar de.
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.